dayar-e-ghair mein kaise tujhe sada dete
dayār-e-ġhair meñ kaise tujhe sadā dete
tū mil bhī jaatā to āḳhir tujhe gañvā dete
tumhī ne ham ko sunāyā na apnā dukh varna
duā vo karte ki ham āsmāñ hilā dete
hameñ zo.am rahā ki ab vo pukāreñge
unheñ ye zid thī ki har baar ham sadā deñge
vo terā ġham thā ki tāsīr mere lahje kī
ki jis ko haal sunāte vo rulā dete
tumheñ bhulānā hī avval to dastaras meñ nahīñ
jo iḳhtiyār bhī hotā to kyā bhulā dete
tumhārī yaad meñ koī javāb hī na diyā
mere ḳhayāl hī aañsū rahe sadā de kar
ham apne bachchoñ se kaise kaheñ ki ye guḌiyā
hamāre bas meñ jo hotī to dilā dete
samā.atoñ ko maiñ tā-umr kostā 'sayyad'
vo kuchh na kahte hoñT to hilā dete
tumheñ bhulānā hī avval to dastaras meñ nahīñ
jo iḳhtiyār bhī hotā to kyā bhulā dete
dayar-e-ghair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to aaKHir tujhe ganwa dete
tumhi ne hum ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte ki hum aasman hila dete
hamein zoam raha ki ab wo pukarenge
unhen ye zid thi ki har bar hum sada denge
wo tera gham tha ki tasir mere lahje ki
ki jis ko haal sunate wo rula dete
tumhein bhulana hi awwal to dastaras mein nahin
jo iKHtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhaari yaad mein koi jawab hi na diya
mere KHayal hi aansu rahe sada de kar
hum apne bachchon se kaise kahen ki ye guDiya
hamare bas mein jo hoti to dila dete
samaaton ko main ta-umr kosta 'sayyad'
wo kuchh na kahte honT to hila dete
tumhein bhulana hi awwal to dastaras mein nahin
jo iKHtiyar bhi hota to kya bhula dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.