dayar-e-hijr mein aata hun muskuraata hun
dayār-e-hijr meñ aatā huuñ muskurātā huuñ
maiñ apne ranj uThātā huuñ muskurātā huuñ
kisī ko shaam agar rāste meñ ho jaa.e
maiñ ik charāġh jalātā huuñ muskurātā huuñ
kisī bhī aañkh se hotā hai jab guzar merā
bas ek ḳhvāb uThātā huuñ muskurātā huuñ
ki us ke saa.e meñ ā.indagān baiTheñge
maiñ jab bhī peḌ lagātā huuñ muskurātā huuñ
jab apne TuuTe hue dil meñ jhāñktā huuñ 'alī'
ḳhudā ko sāmne paatā huuñ muskurātā huuñ
dayar-e-hijr mein aata hun muskuraata hun
main apne ranj uThata hun muskuraata hun
kisi ko sham agar raste mein ho jae
main ek charagh jalata hun muskuraata hun
kisi bhi aankh se hota hai jab guzar mera
bas ek KHwab uThata hun muskuraata hun
ki us ke sae mein aaindagan baiThenge
main jab bhi peD lagata hun muskuraata hun
jab apne TuTe hue dil mein jhankta hun 'ali'
KHuda ko samne pata hun muskuraata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.