dayar-e-hijr mein KHud ko to aksar bhul jata hun
dayār-e-hijr meñ ḳhud ko to aksar bhuul jaatā huuñ
tujhe bhī maiñ tirī yādoñ meñ kho kar bhuul jaatā huuñ
'ajab din the ki barsoñ zarb-e-ḳhushbū yaad rahtī thī
'ajab din haiñ ki fauran zaḳhm-e-ḳhanjar bhuul jaatā huuñ
guzar jaatā huuñ ghar ke sāmne se be-ḳhayālī meñ
kabhī daftar ke darvāze pe daftar bhuul jaatā huuñ
isī baa.is baḌī chāhat se miltā huuñ ki maiñ aksar
judā hote hī chehra naam paikar bhuul jaatā huuñ
mujhe patthar kī sūrat hī sahī zinda to rahnā hai
so maiñ har vāqi.a manzar-ba-manzar bhuul jaatā huuñ
vo sab kuchh yaad rakhtā huuñ bhulānā jis kā behtar ho
magar jo yaad rakhnā ho sarāsar bhuul jaatā huuñ
dayar-e-hijr mein KHud ko to aksar bhul jata hun
tujhe bhi main teri yaadon mein kho kar bhul jata hun
'ajab din the ki barson zarb-e-KHushbu yaad rahti thi
'ajab din hain ki fauran zaKHm-e-KHanjar bhul jata hun
guzar jata hun ghar ke samne se be-KHayali mein
kabhi daftar ke darwaze pe daftar bhul jata hun
isi bais baDi chahat se milta hun ki main aksar
juda hote hi chehra nam paikar bhul jata hun
mujhe patthar ki surat hi sahi zinda to rahna hai
so main har waqia manzar-ba-manzar bhul jata hun
wo sab kuchh yaad rakhta hun bhulana jis ka behtar ho
magar jo yaad rakhna ho sarasar bhul jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.