dayar-e-hosh ki pahle junun KHabar lena
dayār-e-hosh kī pahle junūñ ḳhabar lenā
uḌā ke dhuul na miTTī ḳharāb kar lenā
jafā bhī ho to vo tum jaano aur ham jāneñ
na ho kisī ko ḳhabar is tarah ḳhabar lenā
nishānī le ke chaleñge vatan ko ġhurbat kī
kahīñ se dasht kā dāman zarā katar lenā
niyāz-e-husn bhī hai zindagī ke dhandoñ meñ
kisī pe marne kī fursat mile to mar lenā
isī jahān se miltā hai dars-e-ibrat bhī
hazār shart hai lenā na kuchh magar lenā
na mai-kashī na ibādat hamārī aadat hai
ki sāmne koī kaam aa gayā to kar lenā
vafā ḳharāb hai raftār-e-bahr-e-hastī kī
abhī to Duub hī jā phir kabhī ubhar lenā
janāb-e-shaiḳh to bār-e-gunah se ghabrā.e
hamī uThā.eñge 'nātiq' zarā idhar lenā
dayar-e-hosh ki pahle junun KHabar lena
uDa ke dhul na miTTi KHarab kar lena
jafa bhi ho to wo tum jaano aur hum jaanen
na ho kisi ko KHabar is tarah KHabar lena
nishani le ke chalenge watan ko ghurbat ki
kahin se dasht ka daman zara katar lena
niyaz-e-husn bhi hai zindagi ke dhandon mein
kisi pe marne ki fursat mile to mar lena
isi jahan se milta hai dars-e-ibrat bhi
hazar shart hai lena na kuchh magar lena
na mai-kashi na ibaadat hamari aadat hai
ki samne koi kaam aa gaya to kar lena
wafa KHarab hai raftar-e-bahr-e-hasti ki
abhi to Dub hi ja phir kabhi ubhar lena
janab-e-shaiKH to bar-e-gunah se ghabrae
hami uThaenge 'natiq' zara idhar lena
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.