dayar-e-ishq mein aate kabhu ruton ke liye
dayār-e-ishq meñ aate kabhū rutoñ ke liye
bhaTakte phirte ho kyoñ tum mahūratoñ ke liye
na-jāne kaun-se lamhoñ ke intizār meñ ho
zarā bhī vaqt nahīñ hai kudūratoñ ke liye
kisī kisī ko hai ma.alūm dard andar kā
ki ham to hañste rahe ḳhūb-sūratoñ ke liye
bahut haiñ chāhne vaale ghamanD rakhte ho
hameñ bhī chāhā thā sab ne zarūratoñ ke liye
hamāre chehre pe kuchh ḳhāl-e-naqsh haiñ 'manzar'
bahut zarūrī haiñ āyāt sūratoñ ke liye
dayar-e-ishq mein aate kabhu ruton ke liye
bhaTakte phirte ho kyon tum mahuraton ke liye
na-jaane kaun-se lamhon ke intizar mein ho
zara bhi waqt nahin hai kuduraton ke liye
kisi kisi ko hai malum dard andar ka
ki hum to hanste rahe KHub-suraton ke liye
bahut hain chahne wale ghamanD rakhte ho
hamein bhi chaha tha sab ne zaruraton ke liye
hamare chehre pe kuchh KHal-e-naqsh hain 'manzar'
bahut zaruri hain aayat suraton ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.