de de us ka mujhe pata koi
de de us kā mujhe pata koī
hai kahīñ par agar ḳhudā koī
dekh liije azal se tā-ba-hanūz
ham sā paidā nahīñ huā koī
sab hī jab mudda'ī ke dushman haiñ
ḳhaak samjhegā mudda'ā koī
haath jab vo chhuḌā ke jaate the
jī meñ martā thā bārhā koī
aazmā lo har ik jafā mujh par
rah na jaa.e kahīñ jafā koī
be-ḳhabar tujh ko kyā ḳhabar ki tujhe
'umr bhar DhūñDhtā rahā koī
juz tire ab kabhī na 'haidar' ko
raas aa.egā dūsrā koī
de de us ka mujhe pata koi
hai kahin par agar KHuda koi
dekh lije azal se ta-ba-hanuz
hum sa paida nahin hua koi
sab hi jab mudda'i ke dushman hain
KHak samjhega mudda'a koi
hath jab wo chhuDa ke jate the
ji mein marta tha barha koi
aazma lo har ek jafa mujh par
rah na jae kahin jafa koi
be-KHabar tujh ko kya KHabar ki tujhe
'umr bhar DhunDhta raha koi
juz tere ab kabhi na 'haidar' ko
ras aaega dusra koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.