de den abhi kare jo koi KHub-ru pasand
de deñ abhī kare jo koī ḳhūb-rū pasand
ham ko nahīñ pasand dil-e-ārzū-pasand
mānind-e-ashk ḳhaak meñ āḳhir milā diyā
aa.ī na āsmāñ ko mirī aabrū pasand
tum ne vahāñ raqīb ko pahlū meñ dī jagah
yaañ rah gayā taḌap ke dil-e-ārzū-pasand
ushshāq se vo pūchhte haiñ teġh tol kar
hai zaḳhm-e-sar pasand ki zaḳhm-e-gulū pasand
qurbān is adā ke vo kahte haiñ ai 'nasīm'
aayā hai āshiqoñ meñ hameñ ek tū pasand
de den abhi kare jo koi KHub-ru pasand
hum ko nahin pasand dil-e-arzu-pasand
manind-e-ashk KHak mein aaKHir mila diya
aai na aasman ko meri aabru pasand
tum ne wahan raqib ko pahlu mein di jagah
yan rah gaya taDap ke dil-e-arzu-pasand
ushshaq se wo puchhte hain tegh tol kar
hai zaKHm-e-sar pasand ki zaKHm-e-gulu pasand
qurban is ada ke wo kahte hain ai 'nasim'
aaya hai aashiqon mein hamein ek tu pasand
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 151)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.