de do na ek bar mera sath jaan-e-man
de do na ek baar mirā saath jān-e-man
aatī nahīñ hai niiñd mujhe raat jān-e-man
maiñ ne tumhārī gāliyāñ hañs ke qubūl kī
jaanā nahīñ thā mujh ko havālāt jān-e-man
maiñ ne bhī un se zar na liyā soch kar yahī
letā nahīñ maiñ aaj bhī ḳhairāt jān-e-man
maiñ ne kiyā hai apne ko ḳhud ek aa.ina
lagne lagī hai zindagī sauġhāt jān-e-man
rusvā.iyoñ ke Dar se rahā tum se duur maiñ
samjhī nahīñ kisī ne mirī baat jān-e-man
maañ baap ne 'ādarsh' ko ye fan bhī sikhāyā
kartā nahīñ huuñ aaj bhī maiñ ghaat jān-e-man
de do na ek bar mera sath jaan-e-man
aati nahin hai nind mujhe raat jaan-e-man
main ne tumhaari galiyan hans ke qubul ki
jaana nahin tha mujh ko hawalat jaan-e-man
main ne bhi un se zar na liya soch kar yahi
leta nahin main aaj bhi KHairaat jaan-e-man
main ne kiya hai apne ko KHud ek aaina
lagne lagi hai zindagi saughat jaan-e-man
ruswaiyon ke Dar se raha tum se dur main
samjhi nahin kisi ne meri baat jaan-e-man
man bap ne 'adarsh' ko ye fan bhi sikhaya
karta nahin hun aaj bhi main ghat jaan-e-man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.