de gayā āḳhirī sadā koī
fāsloñ par bikhar gayā koī
raat kā dard bāñTne ke liye
rāt-bhar jāgtā rahā koī
ek saa.e kī tarah be-āvāz
mere dar par khaḌā rahā koī
āsmāñ se pare bhī kuchh hogā
umr-bhar sochtā rahā koī
suukh jaane de TuuT jaane de
le uḌegī mujhe havā koī
yā banā de pahāḌ kā patthar
yā mujhe rāsta dikhā koī
toḌ kar jism ke dar-o-dīvār
aa.ine meñ utar gayā koī
de gaya aaKHiri sada koi
faslon par bikhar gaya koi
raat ka dard banTne ke liye
raat-bhar jagta raha koi
ek sae ki tarah be-awaz
mere dar par khaDa raha koi
aasman se pare bhi kuchh hoga
umr-bhar sochta raha koi
sukh jaane de TuT jaane de
le uDegi mujhe hawa koi
ya bana de pahaD ka patthar
ya mujhe rasta dikha koi
toD kar jism ke dar-o-diwar
aaine mein utar gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.