Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

de ke dastak shabab aata hai

Sardar Panchhi

de ke dastak shabab aata hai

Sardar Panchhi

MORE BYSardar Panchhi

    de ke dastak shabāb aatā hai

    bin-bulā.e hijāb aatā hai

    pahle āñkhoñ meñ ḳhvāb aatā hai

    tab kahīñ inqalāb aatā hai

    phir to rahtī nahīñ nadī beva

    jab pahāḌoñ se aab aatā hai

    sāqiyā tere bāda-ḳhāne meñ

    sirf izzat-ma.āb aatā hai

    kaise mil pā.egī hameñ jannat

    vā.izoñ ko hisāb aatā hai

    aise aate haiñ vo mirī jānib

    jaise jām-e-sharāb aatā hai

    vo bhī aate haiñ baam par aise

    jis tarah māhtāb aatā hai

    un ke hisse meñ aa.iiñ ta.abīreñ

    mere hisse meñ ḳhvāb aatā hai

    din meñ kar lo sabhī diye raushan

    un ke ruḳh par naqāb aatā hai

    tohfa deñge tumheñ jo phūloñ

    ham ko bhī intiḳhāb aatā hai

    tum chaloge jo simt-e-mai-ḳhāna

    pīchhe 'panchhī'-janāb aatā hai

    de ke dastak shabab aata hai

    bin-bulae hijab aata hai

    pahle aankhon mein KHwab aata hai

    tab kahin inqalab aata hai

    phir to rahti nahin nadi bewa

    jab pahaDon se aab aata hai

    saqiya tere baada-KHane mein

    sirf izzat-maab aata hai

    kaise mil paegi hamein jannat

    waizon ko hisab aata hai

    aise aate hain wo meri jaanib

    jaise jam-e-sharab aata hai

    wo bhi aate hain baam par aise

    jis tarah mahtab aata hai

    un ke hisse mein aain tabiren

    mere hisse mein KHwab aata hai

    din mein kar lo sabhi diye raushan

    un ke ruKH par naqab aata hai

    tohfa denge tumhein jo phulon ka

    hum ko bhi intiKHab aata hai

    tum chaloge jo simt-e-mai-KHana

    pichhe 'panchhi'-janab aata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now