de ke KHud KHun ka manzar mujhko
de ke ḳhud ḳhuun kā manzar mujh ko
aaj kahtā hai vo ḳhanjar mujh ko
kab rahā koī Thikāna apnā
ab ki DhūñDho mire andar mujh ko
dekh kar merā shikasta honā
kahtā hai piir sikandar mujh ko
zaḳhm-e-jāñ aur tabassum sheva
kar gayā vaqt qalandar mujh ko
mujh ko sahrā sā milā thā jo kabhī
kar gayā vo hī samundar mujh ko
de ke KHud KHun ka manzar mujh ko
aaj kahta hai wo KHanjar mujh ko
kab raha koi Thikana apna
ab ki DhunDho mere andar mujh ko
dekh kar mera shikasta hona
kahta hai pir sikandar mujh ko
zaKHm-e-jaan aur tabassum shewa
kar gaya waqt qalandar mujh ko
mujh ko sahra sa mila tha jo kabhi
kar gaya wo hi samundar mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.