de ke shahkar KHadd-o-Khaal use
de ke shahkār ḳhadd-o-ḳhāl use
kar diyā rab ne be-misāl use
zeb detā hai ye jalāl use
hai milā aisā hī jamāl use
vo kisī aur kā huā niklā
ab to paanā lage muhāl use
phuul khil uThte haiñ qadam-ba-qadam
kyā hasīñ-tar milī hai chaal use
munfarid ho ga.ī hai zaat us kī
rab ne baḳhshe haiñ vo kamāl use
jaise maiñ sochtā huuñ us ko bahut
kyā mirā bhī hai yuuñ ḳhayāl use
har ghaḌī muzmahil sā hai rahtā
jaane hai kaun sā malāl use
de ke shahkar KHadd-o-KHal use
kar diya rab ne be-misal use
zeb deta hai ye jalal use
hai mila aisa hi jamal use
wo kisi aur ka hua nikla
ab to pana lage muhaal use
phul khil uThte hain qadam-ba-qadam
kya hasin-tar mili hai chaal use
munfarid ho gai hai zat us ki
rab ne baKHshe hain wo kamal use
jaise main sochta hun us ko bahut
kya mera bhi hai yun KHayal use
har ghaDi muzmahil sa hai rahta
jaane hai kaun sa malal use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.