de sanam hukm tū dar par tire hāzir ho kar
paḌ rahe koī musalmān bhī kāfir ho kar
chuTkiyāñ lene ko bas rah chuke pinhāñ dil meñ
kabhī pahlū meñ bhī aa baiThiye zāhir ho kar
jab.ha-sā.ī kā irāda ho to pahuñchā degā
dar tak us but ke ḳhudā hāfiz-o-nāsir ho kar
ġhair kyoñ ham ko uThātā hai tirī mahfil se
aap uTh jā.eñge barḳhāst-ḳhātir ho kar
DhūñDte rah ga.e pahlū hī ta.ajjub hai 'jalāl'
hāl-e-dil us ne na tum kah sake shā.ir ho kar
de sanam hukm tu dar par tere hazir ho kar
paD rahe koi musalman bhi kafir ho kar
chuTkiyan lene ko bas rah chuke pinhan dil mein
kabhi pahlu mein bhi aa baiThiye zahir ho kar
jabha-sai ka irada ho to pahuncha dega
dar tak us but ke KHuda hafiz-o-nasir ho kar
ghair kyon hum ko uThata hai teri mahfil se
aap uTh jaenge barKHast-KHatir ho kar
DhunDte rah gae pahlu hi tajjub hai 'jalal'
haal-e-dil us ne na tum kah sake shair ho kar
Source :
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 43)
-
Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا
(2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.