kisi ki yaad mein duniya ko hain bhulae hue
Interesting Fact
Film: Jahan Ara (1964)
kisī kī yaad meñ duniyā ko haiñ bhulā.e hue
zamāna guzrā hai apnā ḳhayāl aa.e hue
baḌī ajiib ḳhushī hai ġham-e-mohabbat bhī
hañsī laboñ pe magar dil pe choT khaa.e hue
hazār parde hoñ pahre hoñ yā hoñ dīvāreñ
raheñge merī nazar meñ to vo samā.e hue
kisī ke husn kī bas ik kiran hī kaafī hai
ye log kyuuñ mire aage haiñ sham.a laa.e hue
kisi ki yaad mein duniya ko hain bhulae hue
zamana guzra hai apna KHayal aae hue
baDi ajib KHushi hai gham-e-mohabbat bhi
hansi labon pe magar dil pe choT khae hue
hazar parde hon pahre hon ya hon diwaren
rahenge meri nazar mein to wo samae hue
kisi ke husn ki bas ek kiran hi kafi hai
ye log kyun mere aage hain shama lae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.