thake logon ko majburi mein chalte dekh leta hun
thake logoñ ko majbūrī meñ chalte dekh letā huuñ
maiñ bas kī khiḌkiyoñ se ye tamāshe dekh letā huuñ
kabhī dil meñ udāsī ho to un meñ jā nikaltā huuñ
purāne dostoñ ko chup se baiThe dekh letā huuñ
chhupāte haiñ bahut vo garmī-e-dil ko magar maiñ bhī
gul-e-ruḳh par uḌī rañgat ke chhīñTe dekh letā huuñ
khaḌā huuñ yuuñ kisī ḳhālī qile ke sehn-e-vīrāñ meñ
ki jaise maiñ zamīnoñ meñ dafīne dekh letā huuñ
'munīr' andāza-e-qār-e-fanā karnā ho jab mujh ko
kisī ūñchī jagah se jhuk ke nīche dekh letā huuñ
thake logon ko majburi mein chalte dekh leta hun
main bas ki khiDkiyon se ye tamashe dekh leta hun
kabhi dil mein udasi ho to un mein ja nikalta hun
purane doston ko chup se baiThe dekh leta hun
chhupate hain bahut wo garmi-e-dil ko magar main bhi
gul-e-ruKH par uDi rangat ke chhinTe dekh leta hun
khaDa hun yun kisi KHali qile ke sehn-e-viran mein
ki jaise main zaminon mein dafine dekh leta hun
'munir' andaza-e-qar-e-fana karna ho jab mujh ko
kisi unchi jagah se jhuk ke niche dekh leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.