Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh aqd-e-surayya hamein angur ki sujhi

Nazeer Akbarabadi

dekh aqd-e-surayya hamein angur ki sujhi

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    dekh aqd-e-surayyā hameñ angūr sūjhī

    kyuuñ bāda-kashāñ ham ko bhī kyā duur sūjhī

    ġhash khā ke girā pahle sho'le jhalak se

    muusā ko bhalā kahiye to kyā tuur sūjhī

    ham ne to use dekh ye jaanā ki parī hai

    pariyoñ ne jo dekhā to unheñ huur sūjhī

    dekhā jo nahāne meñ vo gorā badan us

    billor chaukī pe jhalak nuur sūjhī

    sar paañv se jab phañs ga.e us zulf-e-siyah meñ

    jab ham ko siyāhī-e-shab-e-dījūr sūjhī

    jannat ke liye shaiḳh jo kartā hai 'ibādat

    ġhaur jo ḳhātir meñ to mazdūr sūjhī

    masnūa meñ sān.e.a nazar aave to 'nazīr' aah

    nazdīk phir kyā hai jahāñ duur sūjhī

    dekh aqd-e-surayya hamein angur ki sujhi

    kyun baada-kashan hum ko bhi kya dur ki sujhi

    ghash kha ke gira pahle hi sho'le ki jhalak se

    musa ko bhala kahiye to kya tur ki sujhi

    hum ne to use dekh ye jaana ki pari hai

    pariyon ne jo dekha to unhen hur ki sujhi

    dekha jo nahane mein wo gora badan us ka

    billor ki chauki pe jhalak nur ki sujhi

    sar panw se jab phans gae us zulf-e-siyah mein

    jab hum ko siyahi-e-shab-e-dijur ki sujhi

    jannat ke liye shaiKH jo karta hai 'ibaadat

    ki ghaur jo KHatir mein to mazdur ki sujhi

    masnua mein sanea nazar aawe to 'nazir' aah

    nazdik ki phir kya hai jahan dur ki sujhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now