dekh kar aapko dua karna
dekh kar aap ko duā karnā
phir namāzeñ sabhī adā karnā
ishq dekho kahāñ pe le aayā
sabr karnā ki iltijā karnā
chhoḌ jaate ho ye to batlā do
aap ke ba.ad ham ne kyā karnā
vo sarāpā ġhazal kā paikar hai
us ke chehre se ibtidā karnā
dil ne chāhā ki us ko chhū luuñ maiñ
kitnā mushkil hai hausla karnā
ishq to ik muamma hai ai 'samīr'
ibtidā karnā intihā karnā
dekh kar aap ko dua karna
phir namazen sabhi ada karna
ishq dekho kahan pe le aaya
sabr karna ki iltija karna
chhoD jate ho ye to batla do
aap ke baad hum ne kya karna
wo sarapa ghazal ka paikar hai
us ke chehre se ibtida karna
dil ne chaha ki us ko chhu lun main
kitna mushkil hai hausla karna
ishq to ek muamma hai ai 'samir'
ibtida karna intiha karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.