dekh kar hausla mere dil ka
dekh kar hausla mire dil kā
haath tharrā rahā hai qātil kā
paas aayā na vaqt-e-ġharqābī
mujh pe ehsān hai ye sāhil kā
kyā kaheñ hashr-e-kārvāñ kyā ho
rāhbar kā pata na manzil kā
ḳhud hī dete haiñ zaḳhm aur ḳhud hī
pūchhte haiñ mizāj bismil kā
aa ga.ī rut bahār kī shāyad
har taraf shor hai salāsil kā
khiñch ke aane pe vo hue majbūr
mo.ajiza hai ye jazb-e-kāmil kā
ham-zabāñ ho ke bhī ḳhamosh rahe
paas rakhnā thā rang-e-mahfil kā
parda-e-sher meñ 'nadīm' aksar
ham sunāte haiñ mājrā dil kā
dekh kar hausla mere dil ka
hath tharra raha hai qatil ka
pas aaya na waqt-e-gharqabi
mujh pe ehsan hai ye sahil ka
kya kahen hashr-e-karwan kya ho
rahbar ka pata na manzil ka
KHud hi dete hain zaKHm aur KHud hi
puchhte hain mizaj bismil ka
aa gai rut bahaar ki shayad
har taraf shor hai salasil ka
khinch ke aane pe wo hue majbur
moajiza hai ye jazb-e-kaamil ka
ham-zaban ho ke bhi KHamosh rahe
pas rakhna tha rang-e-mahfil ka
parda-e-sher mein 'nadim' aksar
hum sunate hain majra dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.