dekh kar ḳhush-rañg us gul-pairahan ke haath paañv
phuul jaate haiñ javānān-e-chaman ke haath paañv
jab na dekhe chaar din us gul-badan ke haath paañv
suukh kar kāñTā hue ahl-e-chaman ke haath paañv
ham vo mai-kash haiñ jo hotā hai hameñ ranj-e-ḳhumār
TūTte haiñ sāqī-e-paimāñ-shikan ke haath paañv
un ke maqtūloñ kī qabreñ is qadar khodī ga.iiñ
thak ke taḳhta ho ga.e har gorkan ke haath paañv
aatī jaatī choT bhī sach hī nazar aatī nahīñ
āj-kal chalte haiñ kyā us teġh-zan ke haath paañv
ḳhāksārī kā mazā hotā jo ai ḳhusrav tujhe
āb-e-shīrīñ se dhulātā kohkan ke haath paañv
hathkaḌī beḌī baḌī zoroñ se pahnā.ī mujhe
ai junūñ shal ho ga.e ahl-e-vatan ke haath paañv
kaaT Daalā dast-e-shāḳh-e-gul ko pā-e-sarv ko
bāġhbāñ ne dekh kar us gul-badan ke haath paañv
tausan-e-mushkīñ se jab us turk kī tashbīh dī
joḌ meñ Thahre na āhū-e-ḳhutan ke haath paañv
apne gesū-e-rasā se yaar rassī kī tarah
bāñdhtā hai āshiq-e-chāh-e-zaqan ke haath paañv
naujavānān-e-chaman us gul se tharrāte haiñ yuuñ
jis tarah kāñpeñ kisī pīr-e-kuhan ke haath paañv
shab ko garm-e-raqs hotā hai jo vo ātish-mizāj
sham' saañ jalte haiñ saare anjuman ke haath paañv
hathkaḌī beḌī jo mujh majnūñ kī utrī bā'd-e-marg
qabr meñ TukḌe uḌā.eñge kafan ke haath paañv
ho ga.ī ḳham Thoñk kar dev-e-ḳhizāñ ke sāmne
kyā kasīle haiñ javānān-e-chaman ke haath paañv
shāhid-e-maqsad tumheñ be-vāsta mil jā.egā
ai 'sabā' chūmo na shaiḳh-o-barhaman ke haath paañv
dekh kar KHush-rang us gul-pairahan ke hath panw
phul jate hain jawanan-e-chaman ke hath panw
jab na dekhe chaar din us gul-badan ke hath panw
sukh kar kanTa hue ahl-e-chaman ke hath panw
hum wo mai-kash hain jo hota hai hamein ranj-e-KHumar
TuTte hain saqi-e-paiman-shikan ke hath panw
un ke maqtulon ki qabren is qadar khodi gain
thak ke taKHta ho gae har gorkan ke hath panw
aati jati choT bhi sach hi nazar aati nahin
aaj-kal chalte hain kya us tegh-zan ke hath panw
KHaksari ka maza hota jo ai KHusraw tujhe
aab-e-shirin se dhulata kohkan ke hath panw
hathkaDi beDi baDi zoron se pahnai mujhe
ai junun shal ho gae ahl-e-watan ke hath panw
kaT Dala dast-e-shaKH-e-gul ko pa-e-sarw ko
baghban ne dekh kar us gul-badan ke hath panw
tausan-e-mushkin se jab us turk ki tashbih di
joD mein Thahre na aahu-e-KHutan ke hath panw
apne gesu-e-rasa se yar rassi ki tarah
bandhta hai aashiq-e-chah-e-zaqan ke hath panw
naujawanan-e-chaman us gul se tharraate hain yun
jis tarah kanpen kisi pir-e-kuhan ke hath panw
shab ko garm-e-raqs hota hai jo wo aatish-mizaj
sham' san jalte hain sare anjuman ke hath panw
hathkaDi beDi jo mujh majnun ki utri ba'd-e-marg
qabr mein TukDe uDaenge kafan ke hath panw
ho gai KHam Thonk kar dew-e-KHizan ke samne
kya kasile hain jawanan-e-chaman ke hath panw
shahid-e-maqsad tumhein be-wasta mil jaega
ai 'saba' chumo na shaiKH-o-barhaman ke hath panw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.