dekh kar mai munh mein pani shaiKH ke bhar aaega
dekh kar mai munh mein pani shaiKH ke bhar aaega
Kishan Kumaar Waqaar
MORE BYKishan Kumaar Waqaar
dekh kar mai muñh meñ paanī shaiḳh ke bhar aa.egā
chiiz achchhī dekhegā muflis kā jī lalchā.egā
sho.ala bhaḌkā kar rahegī ye dabī aag ek din
gar vo ThanDī garmiyoñ se dil mirā sulgā.egā
kākul-e-purpech se hāsil huā ye mū-ba-mū
haath ko jo khīñch legā paañv ko phailā.egā
zabt-e-girya se hai nuqsāñ qasr-e-tan ke vāste
baiTh hī jā.egā ghar paanī agar mar jā.egā
chashm-e-baddūr aañkh aisī hai nashīlī yaar kī
mohtasib ke muñh meñ paanī dekh kar bhar aa.egā
ishva chālākī karishma naaz ġhamza yaar kā
garche hai qahr-e-ḳhudā par dil ko mere bhā.egā
le chalī gar vahshat-e-dil jānib-e-sahrā 'vaqār'
ranj-o-hirmāñ paañv dar par yaar ke phailā.egā
dekh kar mai munh mein pani shaiKH ke bhar aaega
chiz achchhi dekhega muflis ka ji lalchaega
shoala bhaDka kar rahegi ye dabi aag ek din
gar wo ThanDi garmiyon se dil mera sulgaega
kakul-e-purpech se hasil hua ye mu-ba-mu
hath ko jo khinch lega panw ko phailaega
zabt-e-girya se hai nuqsan qasr-e-tan ke waste
baiTh hi jaega ghar pani agar mar jaega
chashm-e-baddur aankh aisi hai nashili yar ki
mohtasib ke munh mein pani dekh kar bhar aaega
ishwa chaalaki karishma naz ghamza yar ka
garche hai qahr-e-KHuda par dil ko mere bhaega
le chali gar wahshat-e-dil jaanib-e-sahra 'waqar'
ranj-o-hirman panw dar par yar ke phailaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.