dekh kar tujhko na jaane kyon udhar
dekh kar tujh ko na jaane kyoñ udhar
khul rahe haiñ ḳhud-ba-ḳhud dīvār-o-dar
yā raqam kar pāniyoñ par apnī baat
yā sulagtī ret par aa kar bikhar
zindagī kā ye hasīñ manzar to dekh
vo parinde ham-suḳhan haiñ shāḳh par
barf rātoñ kā asāsa kaun hai
chilchilātī dhuup meñ ghūmā na kar
yā ḳhalā ko apnī muTThī meñ sameT
yā nadī ban kar samundar meñ utar
fā.eda ḳhālī garajne se hai kyā
chupke se ai abr-e-āvāra guzar
dekh kar tujh ko na jaane kyon udhar
khul rahe hain KHud-ba-KHud diwar-o-dar
ya raqam kar paniyon par apni baat
ya sulagti ret par aa kar bikhar
zindagi ka ye hasin manzar to dekh
wo parinde ham-suKHan hain shaKH par
barf raaton ka asasa kaun hai
chilchilati dhup mein ghuma na kar
ya KHala ko apni muTThi mein sameT
ya nadi ban kar samundar mein utar
faeda KHali garajne se hai kya
chupke se ai abr-e-awara guzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.