Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh kar ye chalan tumhaare hum

Muntazir lakhnavi

dekh kar ye chalan tumhaare hum

Muntazir lakhnavi

MORE BYMuntazir lakhnavi

    dekh kar ye chalan tumhāre ham

    ḳhaak meñ mil ga.e bechāre ham

    jin haiñ dev bhuut haiñ kyā haiñ

    nahīñ lagte jo tum ko pyāre ham

    be-qarārī se dil shab ko haa.e

    dar pe us ke bahut pukāre ham

    ye jo gulzār hai ruḳh terā

    leñge is baaġh ko ijāre ham

    daaġh ik tohfa le ke hastī meñ

    sū-e-mulk-e-adam sidhāre ham

    raat mahfil meñ kaan meñ us ke

    kah ke kuchh ho ga.e kināre ham

    'muntazir' dil ne dukh diyā ye ki bas

    mar ga.e dard-o-ġham ke maare ham

    dekh kar ye chalan tumhaare hum

    KHak mein mil gae bechaare hum

    jin hain ya dew bhut hain kya hain

    nahin lagte jo tum ko pyare hum

    be-qarari se dil ki shab ko hae

    dar pe us ke bahut pukare hum

    ye jo gulzar sa hai ruKH tera

    lenge is bagh ko ijare hum

    dagh ek tohfa le ke hasti mein

    su-e-mulk-e-adam sidhaare hum

    raat mahfil mein kan mein us ke

    kah ke kuchh ho gae kinare hum

    'muntazir' dil ne dukh diya ye ki bas

    mar gae dard-o-gham ke mare hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now