dekh kya ban ke aa gai miTTi
dekh kyā ban ke aa ga.ī miTTī
donoñ 'ālam pe chhā ga.ī miTTī
sar jhukānā paḌā farishtoñ ko
nuur meñ jab samā ga.ī miTTī
apnī tāqat pe naaz thā jin ko
un ko kachchā chabā ga.ī miTTī
raushnī kā ġhurūr Tuut gayā
jab diyā ban ke aa ga.ī miTTī
kūza-gar sharmsār kyoñ na rahe
chaak pe muskurā ga.ī miTTī
aag paanī havā kī kyā hastī
ruuh ko bhī chhupā ga.ī miTTī
chāñd sūraj sitāre arz-o-samā
ḳhud ko kyā kyā banā ga.ī miTTī
merī miTTī kī ḳhair ho 'sāhib'
rāz-e-pinhāñ batā ga.ī miTTī
dekh kya ban ke aa gai miTTi
donon 'alam pe chha gai miTTi
sar jhukana paDa farishton ko
nur mein jab sama gai miTTi
apni taqat pe naz tha jin ko
un ko kachcha chaba gai miTTi
raushni ka ghurur Tut gaya
jab diya ban ke aa gai miTTi
kuza-gar sharmsar kyon na rahe
chaak pe muskura gai miTTi
aag pani hawa ki kya hasti
ruh ko bhi chhupa gai miTTi
chand suraj sitare arz-o-sama
KHud ko kya kya bana gai miTTi
meri miTTi ki KHair ho 'sahib'
raaz-e-pinhan bata gai miTTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.