dekh le aaj teri bazm mein bhi tanha hun
dekh le aaj tirī bazm meñ bhī tanhā huuñ
maiñ jo guzre hue hangāmoñ kā ḳhamyāza huuñ
jaane kyā Thaan ke uThtā huuñ nikalne ke liye
jaane kyā soch ke darvāze se lauT aatā huuñ
mere har juzv kā hai mujh se alag ek vujūd
tum mujhe jitnā bigāḌoge maiñ ban saktā huuñ
mujh meñ raqsāñ koī aaseb hai āvāzoñ kā
maiñ kisī ujḌe hue shahr kā sannāTā huuñ
apnā hī chehra unheñ mujh meñ dikhā.ī degā
log tasvīr samajhte haiñ maiñ ā.īna huuñ
lamha-e-shauq huuñ merī koī qīmat hī nahīñ
maiñ mayassar tujhe aa jā.ūñ to mahñgā kyā huuñ
maiñ jhapaTne ke liye DhūñDh rahā huuñ mauqa'
aur vo shoḳh samajhtā hai ki sharmātā huuñ
dekh le aaj teri bazm mein bhi tanha hun
main jo guzre hue hangamon ka KHamyaza hun
jaane kya Than ke uThta hun nikalne ke liye
jaane kya soch ke darwaze se lauT aata hun
mere har juzw ka hai mujh se alag ek wujud
tum mujhe jitna bigaDoge main ban sakta hun
mujh mein raqsan koi aaseb hai aawazon ka
main kisi ujDe hue shahr ka sannaTa hun
apna hi chehra unhen mujh mein dikhai dega
log taswir samajhte hain main aaina hun
lamha-e-shauq hun meri koi qimat hi nahin
main mayassar tujhe aa jaun to mahnga kya hun
main jhapaTne ke liye DhunDh raha hun mauqa'
aur wo shoKH samajhta hai ki sharmata hun
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 35)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.