dekh li uski zehanat dekh li
dekh lī us kī zehānat dekh lī
jhuuT hai kitnī sadāqat dekh lī
ek jānib dekhtā hai rāt-din
aur kahtā hai haqīqat dekh lī
Dūbte rahte haiñ saa.e aap meñ
aap kī maiñ ne zarūrat dekh lī
ḳhāmushī kā ḳhol TūTegā kahīñ
bātinī bāhar kī rañgat dekh lī
raushnī rakhtī hai sāñsoñ meñ dhuāñ
pyaar kī 'ḳhushtar' hukūmat dekh lī
dekh li us ki zehanat dekh li
jhuT hai kitni sadaqat dekh li
ek jaanib dekhta hai raat-din
aur kahta hai haqiqat dekh li
Dubte rahte hain sae aap mein
aap ki main ne zarurat dekh li
KHamushi ka KHol TuTega kahin
baatini bahar ki rangat dekh li
raushni rakhti hai sanson mein dhuan
pyar ki 'KHushtar' hukumat dekh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.