dekh lo ek nazar mein kuchh bhi nahin
dekh lo ik nazar meñ kuchh bhī nahīñ
sach kahā hai bashar meñ kuchh bhī nahīñ
shaiḳh kuchh apne-āp ko samjheñ
mai-kashoñ kī nazar meñ kuchh bhī nahīñ
kuchh na hone pe ho tumhīñ sab kuchh
tum nahīñ ho to ghar meñ kuchh bhī nahīñ
kyā samajhtā hai aap ko ai dil
tū kisī kī nazar meñ kuchh bhī nahīñ
ai 'sharaf' sach hai misra-e-'misbāh'
ham to apnī nazar meñ kuchh bhī nahīñ
dekh lo ek nazar mein kuchh bhi nahin
sach kaha hai bashar mein kuchh bhi nahin
shaiKH kuchh apne-ap ko samjhen
mai-kashon ki nazar mein kuchh bhi nahin
kuchh na hone pe ho tumhin sab kuchh
tum nahin ho to ghar mein kuchh bhi nahin
kya samajhta hai aap ko ai dil
tu kisi ki nazar mein kuchh bhi nahin
ai 'sharaf' sach hai misra-e-'misbah'
hum to apni nazar mein kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.