dekh lo rang gar mere til ke
dekh lo rañg gar mire til ke
bhuul jāoge rañg jhilmil ke
ik ġhazal kyā sunā dī mahfil meñ
bā-ḳhudā rah ga.e sabhī hil ke
tū muqallid thā aql vāloñ kā
tū na samjhā muāmle dil ke
koī maqsad nahīñ hai milne kā
achchhā lagtā hai aap se mil ke
gul-badan kab tū un ko toḌegā
phuul thakne lage haiñ khil khil ke
zaḳhm kab is qadar numāyāñ the
jis qadar ho ga.e haiñ sil sil ke
dekh lo rang gar mere til ke
bhul jaoge rang jhilmil ke
ek ghazal kya suna di mahfil mein
ba-KHuda rah gae sabhi hil ke
tu muqallid tha aql walon ka
tu na samjha muamle dil ke
koi maqsad nahin hai milne ka
achchha lagta hai aap se mil ke
gul-badan kab tu un ko toDega
phul thakne lage hain khil khil ke
zaKHm kab is qadar numayan the
jis qadar ho gae hain sil sil ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.