dekh lo shauq-e-na-tamam mera
dekh lo shauq-e-nā-tamām mirā
ġhair le jaa.e hai payām mirā
be-asar hai fuġhān-e-ḳhūn-ālūd
kyuuñ na ho.e ḳharāb kaam mirā
ātishīñ ḳhū se ārzū-e-visāl
pak gayā ab ḳhayāl-e-ḳhām mirā
dekhnā kasrat-e-balā-noshī
kāsa-e-āsmā۔n hai jaam mirā
rutba uftādgī kā dekho hai
'arsh ke bhī pare maqām mirā
kis sanam ko chhuḌā diyā vā'iz
le ḳhudā tujh se intiqām mirā
ho ke yūsuf jo dil churāte ho
kaun ho jā.egā ġhulām mirā
us lab-e-lā'l kī shikāyat hai
kyūñki rangīñ na ho kalām mirā
tū ne rusvā kiyā mujhe ab tak
koī bhī jāntā thā naam mirā
zānū-e-but pe jaan dī dekhā
'momin' anjām-o-iḳhtitām mirā
bandagī kaam aa rahī āḳhir
maiñ na kahtā thā kyuuñ salām mirā
dekh lo shauq-e-na-tamam mera
ghair le jae hai payam mera
be-asar hai fughan-e-KHun-alud
kyun na hoe KHarab kaam mera
aatishin KHu se aarzu-e-visal
pak gaya ab KHayal-e-KHam mera
dekhna kasrat-e-bala-noshi
kasa-e-asma۔n hai jam mera
rutba uftadgi ka dekho hai
'arsh ke bhi pare maqam mera
kis sanam ko chhuDa diya wa'iz
le KHuda tujh se intiqam mera
ho ke yusuf jo dil churaate ho
kaun ho jaega ghulam mera
us lab-e-la'l ki shikayat hai
kyunki rangin na ho kalam mera
tu ne ruswa kiya mujhe ab tak
koi bhi jaanta tha nam mera
zanu-e-but pe jaan di dekha
'momin' anjam-o-iKHtitam mera
bandagi kaam aa rahi aaKHir
main na kahta tha kyun salam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.