dekh mahina aaya hai kya sawan ka
dekh mahīna aayā hai kyā sāvan kā
phuul khilā hai bhīge bhīge joban kā
saare paude sahme sahme baiThe haiñ
jaise maano peḌ girā ho āñgan kā
khaTpaT kartā hai tanhā baiThe baiThe
kaam yahī haiñ ḳhālī-pan meñ bartan kā
lagtī hai dikhne meñ vo bholī-bhālī
man us kā kapḌā ho jaise sāTan kā
baat huī jab paise kī to ham bole
bhāḌā de do ham ko āvan-jāvan kā
dekh mahina aaya hai kya sawan ka
phul khila hai bhige bhige joban ka
sare paude sahme sahme baiThe hain
jaise mano peD gira ho aangan ka
khaTpaT karta hai tanha baiThe baiThe
kaam yahi hain KHali-pan mein bartan ka
lagti hai dikhne mein wo bholi-bhaali
man us ka kapDa ho jaise saTan ka
baat hui jab paise ki to hum bole
bhaDa de do hum ko aawan-jawan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.