dekh tariKH ke KHazane mein
dekh tārīḳh ke ḳhazāne meñ
hai mirā zikr har zamāne meñ
yuuñ bhī umreñ qalīl hotī haiñ
kyoñ gañvāte ho āzmāne meñ
is kī qisteñ chukānī paḌtī haiñ
kuchh nahīñ lagtā dil lagāne meñ
ek lamhe meñ kho na denā use
lag ga.ī umr jis ko paane meñ
Daal deñge ḳhulūs kī chādar
aur kyā hai ġharīb-ḳhāne meñ
ġham na kiije ki ham to haiñ mash.hūr
jaan kar bhī fareb khāne meñ
thak ga.e āgahī ke haath 'mujīb'
sang ko aa.ina banāne meñ
dekh tariKH ke KHazane mein
hai mera zikr har zamane mein
yun bhi umren qalil hoti hain
kyon ganwate ho aazmane mein
is ki qisten chukani paDti hain
kuchh nahin lagta dil lagane mein
ek lamhe mein kho na dena use
lag gai umr jis ko pane mein
Dal denge KHulus ki chadar
aur kya hai gharib-KHane mein
gham na kije ki hum to hain mashhur
jaan kar bhi fareb khane mein
thak gae aagahi ke hath 'mujib'
sang ko aaina banane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.