dekh tu be-rahm aashiq nin tujhe chhoDa nahin
dekh tū be-rahm āshiq niiñ tujhe chhoḌā nahīñ
kis qadar be-rūiyāñ dekhīñ pa muñh moḌā nahīñ
ek chaspāñ hai tujhī par ḳhush-numā.ī kī qabā
dūsrā kui jāma-zeboñ meñ tirā joḌā nahīñ
laT-paTe saj niiñ tire dil kuuñ kiyā hai loT-poT
varna aalam biich Tuk bandoñ kā kuchh toḌā nahīñ
dekhnā shīrīñ kā us kuuñ saḳht laagā sañg meñ
be-sabab farhād niiñ patthar siiñ sar phoḌā nahīñ
aadmī darkār nahiñ sarkār meñ haivān DhūñDh
kaun būjhe yaañ sipāhī ke ta.iiñ ghoḌā nahīñ
jiiv ne marne meñ haq uupar tavakkul hai use
'ābrū' niiñ zaḳhm ke khāne meñ haath oḌā nahīñ
dekh tu be-rahm aashiq nin tujhe chhoDa nahin
kis qadar be-ruiyan dekhin pa munh moDa nahin
ek chaspan hai tujhi par KHush-numai ki qaba
dusra kui jama-zebon mein tera joDa nahin
laT-paTe saj nin tere dil kun kiya hai loT-poT
warna aalam bich Tuk bandon ka kuchh toDa nahin
dekhna shirin ka us kun saKHt laga sang mein
be-sabab farhad nin patthar sin sar phoDa nahin
aadmi darkar nahin sarkar mein haiwan DhunDh
kaun bujhe yan sipahi ke tain ghoDa nahin
jiw ne marne mein haq upar tawakkul hai use
'abru' nin zaKHm ke khane mein hath oDa nahin
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 202)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.