dekh tu yar-e-baada-kash! maine bhi kaam kya kiya
dekh tū yār-e-bāda-kash! maiñ ne bhī kaam kyā kiyā
de ke kabāb-e-dil tujhe haqq-e-namak adā kiyā
kyuuñ sag-e-yār se ḳhajil mujh ko pas-az-fanā kyā
khā gayā ustuḳhāñ mire tū ne ye kyā humā kiyā
zaḳhm-e-jigar se dam-ba-dam kab nahīñ ḳhūñ-bahā kiyā
to bhī na qātil apne se da.avā-e-ḳhūñ-bahā kiyā
us but-e-rashk-e-gul ne jab band-e-qabā ko vā kiyā
apnī nazar ye ġhuncha do haath se phir malā kiyā
kaun se din na yaar ne chashm ko surma-sā kiyā
kab na dil-e-siyāh-baḳht ḳhaak meñ tū milā kiyā
dilbar-e-sho.ala-ḳhū ne jab zulf ko ruḳh pe vā kiyā
dil pe maiñ sūra-e-duḳhāñ karne ko dam paḌhā kiyā
bāda-kashī ko sāqiyā kis kī mujhe batā hubāb
zor-e-bhañvar ke chaak par sāġhar-e-mai banā kiyā
vasl kī raat ham-nashīñ kyūñki kaTī na pūchh kuchh
barsar-e-sulh meñ rahā tis pe bhī vo laḌā kiyā
pā.e-nigār se lipaT chor banī to aap ko hī
haath na kyuuñ tire bañdhīñ kaam ye kyā hinā kiyā
dil kī judā.ī kā kahūñ kis se maiñ mājrā-e-ġham
sail-e-sarishk-e-chashm-e-tar shām-o-sahar bahā kiyā
shakl-e-asā-e-mūsavī thā to vo gesū-e-darāz
par use dast-e-shāna ne de ke ḳham aur dutā kiyā
zeb-e-sar-e-shahāñ kabhī tū ne na dekhā tīra-baḳht
bāl-e-magas ne kab dilā kār-e-par-e-humā kiyā
tār-e-nafas ulajh gayā mere gulū meñ aa ke jab
nāḳhun-e-teġh-e-yār ko maiñ ne girah-kushā kiyā
bosa-e-lab se ek din us ke huā na kāmyāb
dilbar-e-bad-zabāñ kī maiñ gāliyāñ hī sunā kiyā
aa ke salāsil ai junūñ kyuuñ na qadam le ba.ad-e-qais
is kā bhī ham ne silsila az-sar-e-nau bapā kiyā
muñh to na thā ye ġhair kā us ko khilā.e barg-e-pāñ
par na mirā jo bas chalā ḳhūn-e-jigar piyā kiyā
us kī shikastagī kā ġham kyuuñ na ho mujh ko sāqiyā
merī baġhal meñ aah yaañ shīsha-e-dil rahā kiyā
tār-e-nafas judā kiyā barbat-e-tan se mere aah
kaudak-e-mutrib aur kyā tujh ko kahūñ bajā kiyā
koh ko khīñchtā jo tū kāh-rubā to jānte
ik par-e-kāh ko uThā naaz kiyā to kyā kiyā
kyuuñ ho ḳhizr-e-rah-ravāñ ḳhāk-nashīnī pe mirī
jis ne ba-shakl-e-naqsh-e-pā mujh ko hai rahnumā kiyā
shola-ruḳhoñ ke ishq ne kunj-e-mazār meñ bhī aah
sone diyā na chain se maiñ to sadā jalā kiyā
mujh ko hai hijr-o-vasl ek is kī ḳhushī na us kā ġham
kaisī musībatoñ ke din bār-e-ḳhudā bharā kiyā
vasl huā to ye huā mār-e-siyāh jaan kar
raat bhar apnī zulf ke saa.e se vo Darā kiyā
aur maiñ mudda.ā-talab aish se nā-umīd ho
shola-e-sham.a kī tarah sar ko paḌā dhunā kiyā
mudrika-e-bashar hai kyā paa.e jo us kī kunah ko
chāhā jo us ne so kiyā kaun kahe ki kyā kiyā
ya.anī banā ke chashm ko sūrat-e-shīsha-e-hubāb
sāhib-e-zarf thā jo dil jām-e-jahāñ-numā kiyā
apnī sharāratoñ se vo baaz na aayā ai 'nasīr'
mujh ko rulā ke abr saañ barq-e-namat hañsā kiyā
dekh tu yar-e-baada-kash! main ne bhi kaam kya kiya
de ke kabab-e-dil tujhe haqq-e-namak ada kiya
kyun sag-e-yar se KHajil mujh ko pas-az-fana kya
kha gaya ustuKHan mere tu ne ye kya huma kiya
zaKHm-e-jigar se dam-ba-dam kab nahin KHun-baha kiya
to bhi na qatil apne se dawa-e-KHun-baha kiya
us but-e-rashk-e-gul ne jab band-e-qaba ko wa kiya
apni nazar ye ghuncha do hath se phir mala kiya
kaun se din na yar ne chashm ko surma-sa kiya
kab na dil-e-siyah-baKHt KHak mein tu mila kiya
dilbar-e-shoala-KHu ne jab zulf ko ruKH pe wa kiya
dil pe main sura-e-duKHan karne ko dam paDha kiya
baada-kashi ko saqiya kis ki mujhe bata hubab
zor-e-bhanwar ke chaak par saghar-e-mai bana kiya
wasl ki raat ham-nashin kyunki kaTi na puchh kuchh
barsar-e-sulh mein raha tis pe bhi wo laDa kiya
pae-nigar se lipaT chor bani to aap ko hi
hath na kyun tere bandhin kaam ye kya hina kiya
dil ki judai ka kahun kis se main majra-e-gham
sail-e-sarishk-e-chashm-e-tar sham-o-sahar baha kiya
shakl-e-asa-e-musawi tha to wo gesu-e-daraaz
par use dast-e-shana ne de ke KHam aur duta kiya
zeb-e-sar-e-shahan kabhi tu ne na dekha tira-baKHt
baal-e-magas ne kab dila kar-e-par-e-huma kiya
tar-e-nafas ulajh gaya mere gulu mein aa ke jab
naKHun-e-tegh-e-yar ko main ne girah-kusha kiya
bosa-e-lab se ek din us ke hua na kaamyab
dilbar-e-bad-zaban ki main galiyan hi suna kiya
aa ke salasil ai junun kyun na qadam le baad-e-qais
is ka bhi hum ne silsila az-sar-e-nau bapa kiya
munh to na tha ye ghair ka us ko khilae barg-e-pan
par na mera jo bas chala KHun-e-jigar piya kiya
us ki shikastagi ka gham kyun na ho mujh ko saqiya
meri baghal mein aah yan shisha-e-dil raha kiya
tar-e-nafas juda kiya barbat-e-tan se mere aah
kaudak-e-mutrib aur kya tujh ko kahun baja kiya
koh ko khinchta jo tu kah-ruba to jaante
ek par-e-kah ko uTha naz kiya to kya kiya
kyun ho KHizr-e-rah-rawan KHak-nashini pe meri
jis ne ba-shakl-e-naqsh-e-pa mujh ko hai rahnuma kiya
shola-ruKHon ke ishq ne kunj-e-mazar mein bhi aah
sone diya na chain se main to sada jala kiya
mujh ko hai hijr-o-wasl ek is ki KHushi na us ka gham
kaisi musibaton ke din bar-e-KHuda bhara kiya
wasl hua to ye hua mar-e-siyah jaan kar
raat bhar apni zulf ke sae se wo Dara kiya
aur main muddaa-talab aish se na-umid ho
shola-e-shama ki tarah sar ko paDa dhuna kiya
mudrika-e-bashar hai kya pae jo us ki kunah ko
chaha jo us ne so kiya kaun kahe ki kya kiya
yani bana ke chashm ko surat-e-shisha-e-hubab
sahib-e-zarf tha jo dil jam-e-jahan-numa kiya
apni shararaton se wo baz na aaya ai 'nasir'
mujh ko rula ke abr san barq-e-namat hansa kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.