dekh usko KHwab mein jab aankh khul jati hai subh
dekh us ko ḳhvāb meñ jab aañkh khul jaatī hai sub.h
kyā kahūñ maiñ kyā qayāmat mujh pe tab laatī hai sub.h
sham.a jab majlis se mah-rūoñ kī letī hai uThā
kyā kahūñ kyā kyā suneñ us vaqt dikhlātī hai sub.h
jis kā gorā rañg ho vo raat ko khiltā hai ḳhuub
raushnā.ī sham.a kī phīkī nazar aatī hai sub.h
paas tū sotā hai chanchal par gale lagtā nahīñ
minnateñ karte hī saarī raat ho jaatī hai sub.h
niiñd se uThtā hai 'tābāñ' jab mirā ḳhurshīd-rū
dekh us ke muñh ke ta.iiñ sharmā ke chhup jaatī hai sub.h
dekh us ko KHwab mein jab aankh khul jati hai subh
kya kahun main kya qayamat mujh pe tab lati hai subh
shama jab majlis se mah-ruon ki leti hai uTha
kya kahun kya kya sunen us waqt dikhlati hai subh
jis ka gora rang ho wo raat ko khilta hai KHub
raushnai shama ki phiki nazar aati hai subh
pas tu sota hai chanchal par gale lagta nahin
minnaten karte hi sari raat ho jati hai subh
nind se uThta hai 'taban' jab mera KHurshid-ru
dekh us ke munh ke tain sharma ke chhup jati hai subh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.