dekha aTa hua jo gulon ko ghubar mein
dekhā aTā huā jo guloñ ko ġhubār meñ
masrūf haiñ ghaTā.eñ chaman ke nikhār meñ
itne haiñ daaġh aa nahīñ sakte shumār meñ
til bhar kī bhī jagah na dil-e-dāġh-dār meñ
sau meñ bhalā hai ab na bhalā hai hazār meñ
barakat hī ab rahī na kisī kārobār meñ
paañv ke ābloñ se mire aa ke pūchhiye
kyā lazzat-o-maza hai nihāñ nok-e-ḳhār meñ
jiitā huuñ un kī abrū-e-ḳhamdār dekh kar
pinhāñ hai zindagī mirī ḳhanjar kī dhaar meñ
hogā vafā na va.ada-e-fardā tamām umr
rakkheñge hashr tak vo mujhe intizār meñ
is muddat-e-madīd kī kuchh intihā bhī hai
roz-e-azal se hashr ke huuñ intizār meñ
jāñkandanī se chhūT ke aa kar paḌe the ham
aate hī aan pahuñche farishte mazār meñ
mujh sā milegā chāhne vaalā na aap ko
das biis meñ pachās meñ sau meñ hazār meñ
sayyād tujh sā hogā na koī sitam-zarīf
bulbul ko qaid kartā hai fasl-e-bahār meñ
bigḌī kā apnī zikr karūñ un se kis ghaḌī
rahte haiñ har ghaḌī vo banāo-siñghār meñ
rakhte haiñ saath jeb meñ kanghā aur aa.ina
rahte haiñ ab to mard bhī har-dam siñghār meñ
saudāgarī bhī saudā hai jab tajraba nahīñ
de baiThe sab dukān vo apnī udhār meñ
har-dam nigāh dar pe mirī hai lagī huī
āñkheñ haiñ farsh-e-rāh tire intizār meñ
ahl-e-suḳhan kī zarra-navāzī hai ye 'atā'
ahl-e-suḳhan ke aa ga.e ham bhī shumār meñ
dekha aTa hua jo gulon ko ghubar mein
masruf hain ghaTaen chaman ke nikhaar mein
itne hain dagh aa nahin sakte shumar mein
til bhar ki bhi jagah na dil-e-dagh-dar mein
sau mein bhala hai ab na bhala hai hazar mein
barakat hi ab rahi na kisi karobar mein
panw ke aablon se mere aa ke puchhiye
kya lazzat-o-maza hai nihan nok-e-KHar mein
jita hun un ki abru-e-KHamdar dekh kar
pinhan hai zindagi meri KHanjar ki dhaar mein
hoga wafa na wada-e-farda tamam umr
rakkhenge hashr tak wo mujhe intizar mein
is muddat-e-madid ki kuchh intiha bhi hai
roz-e-azal se hashr ke hun intizar mein
jaankandani se chhuT ke aa kar paDe the hum
aate hi aan pahunche farishte mazar mein
mujh sa milega chahne wala na aap ko
das bis mein pachas mein sau mein hazar mein
sayyaad tujh sa hoga na koi sitam-zarif
bulbul ko qaid karta hai fasl-e-bahaar mein
bigDi ka apni zikr karun un se kis ghaDi
rahte hain har ghaDi wo banao-singhaar mein
rakhte hain sath jeb mein kangha aur aaina
rahte hain ab to mard bhi har-dam singhaar mein
saudagari bhi sauda hai jab tajraba nahin
de baiThe sab dukan wo apni udhaar mein
har-dam nigah dar pe meri hai lagi hui
aankhen hain farsh-e-rah tere intizar mein
ahl-e-suKHan ki zarra-nawazi hai ye 'ata'
ahl-e-suKHan ke aa gae hum bhi shumar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.