Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekha hai jis ne yar ke ruKHsar ki taraf

Siraj Aurangabadi

dekha hai jis ne yar ke ruKHsar ki taraf

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    dekhā hai jis ne yaar ke ruḳhsār taraf

    hargiz na jaave sair kuuñ gulzār taraf

    ā.īna-dil chashm meñ nuur jamāl dost

    raushan huā hai har dar-o-dīvār taraf

    manzūr hai salāmatī-e-ḳhūñ agar tujhe

    mat dekh us nargis-e-bīmār taraf

    vahāñ nahīñ baġhair jauhar-e-shamshīr ḳhūñ-bahā

    zāhid na vo zālim-e-ḳhuñḳhār taraf

    hai dil kuuñ azm-e-chauk umīd-e-visāl par

    dīvāna ḳhayāl hai bāzār taraf

    kyā pūchhte ho tum ki tirā dil kidhar gayā

    dil makāñ kahāñ? yahī dildār taraf

    parvāna kuuñ nahīñ hai magar ḳhauf-e-jāñ 'sirāj'

    nāhaq chalā hai shola-e-dīdār taraf

    dekha hai jis ne yar ke ruKHsar ki taraf

    hargiz na jawe sair kun gulzar ki taraf

    aaina-dil ki chashm mein nur jamal dost

    raushan hua hai har dar-o-diwar ki taraf

    manzur hai salamati-e-KHun agar tujhe

    mat dekh us ki nargis-e-bimar ki taraf

    wahan nahin baghair jauhar-e-shamshir KHun-baha

    zahid na ja wo zalim-e-KHunKHar ki taraf

    hai dil kun azm-e-chauk umid-e-visal par

    diwana ka KHayal hai bazar ki taraf

    kya puchhte ho tum ki tera dil kidhar gaya

    dil ka makan kahan? yahi dildar ki taraf

    parwana kun nahin hai magar KHauf-e-jaan 'siraj'

    nahaq chala hai shola-e-didar ki taraf

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 437)
    • Author : Siraj Aurangabadi
    • Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
    • Edition : 1982,1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now