dekha hai zindagi ko kuchh itna qarib se
dekhā hai zindagī ko kuchh itnā qarīb se
chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se
kahne ko dil kī baat jinheñ DhūñDte the ham
mahfil meñ aa ga.e haiñ vo apne nasīb se
nīlām ho rahā thā kisī nāznīñ kā pyaar
qīmat nahīñ chukā.ī ga.ī ik ġharīb se
terī vafā kī laash pe lā maiñ hī Daal duuñ
resham kā ye kafan jo milā hai raqīb se
dekha hai zindagi ko kuchh itna qarib se
chehre tamam lagne lage hain ajib se
kahne ko dil ki baat jinhen DhunDte the hum
mahfil mein aa gae hain wo apne nasib se
nilam ho raha tha kisi naznin ka pyar
qimat nahin chukai gai ek gharib se
teri wafa ki lash pe la main hi Dal dun
resham ka ye kafan jo mila hai raqib se
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 437)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.