dekha hua sa kuchh hai to socha hua sa kuchh
dekhā huā sā kuchh hai to sochā huā sā kuchh
har vaqt mere saath hai uljhā huā sā kuchh
hotā hai yuuñ bhī rāsta khultā nahīñ kahīñ
jangal sā phail jaatā hai khoyā huā sā kuchh
sāhil kī giilī ret pe bachchoñ ke khel sā
har lamha mujh meñ bantā bikhartā huā sā kuchh
fursat ne aaj ghar ko sajāyā kuchh is tarah
har shai se muskurātā hai rotā huā sā kuchh
dhundlī sī ek yaad kisī qabr kā diyā
aur mere ās-pās chamaktā huā sā kuchh
dekha hua sa kuchh hai to socha hua sa kuchh
har waqt mere sath hai uljha hua sa kuchh
hota hai yun bhi rasta khulta nahin kahin
jangal sa phail jata hai khoya hua sa kuchh
sahil ki gili ret pe bachchon ke khel sa
har lamha mujh mein banta bikharta hua sa kuchh
fursat ne aaj ghar ko sajaya kuchh is tarah
har shai se muskuraata hai rota hua sa kuchh
dhundli si ek yaad kisi qabr ka diya
aur mere aas-pas chamakta hua sa kuchh
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 371)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.