dekha tha un ko maine jo apni nazar se aaj
dekhā thā un ko maiñ ne jo apnī nazar se aaj
allāh jaane ho ga.e ġhā.eb kidhar se aaj
kal bin-bulā.e aa.e the yuuñ mere ghar ko vo
ḳhushbū sī phūTne lagī dīvār-o-dar se aaj
goyā ye hai nishānī-e-barbādī-e-jahāñ
insān baat kartā hai shams-o-qamar se aaj
dekha tha un ko main ne jo apni nazar se aaj
allah jaane ho gae ghaeb kidhar se aaj
kal bin-bulae aae the yun mere ghar ko wo
KHushbu si phuTne lagi diwar-o-dar se aaj
goya ye hai nishani-e-barbaadi-e-jahan
insan baat karta hai shams-o-qamar se aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.