dekhe zara koi ki hun kaisa malang main
dekhe zarā koī ki huuñ kaisā malang maiñ
barsāt meñ chalā huuñ uḌāne patang maiñ
hairān aap hī nahīñ haiñ dekh kar mujhe
apnā mizāj dekh ke ḳhud bhī huuñ dang maiñ
kyā pūchhte haiñ aap mire dil kī kaifiyat
din-rāt apne aap se laḌtā huuñ jang maiñ
merī tamām umr to mastī meñ kaT ga.ī
piirī meñ ḳhaak sīkhūñgā jiine kā Dhang maiñ
ab to baḌe dabāo meñ kaTtī hai zindagī
'rānā' kabhī rahā huuñ baḌā hī dabang maiñ
dekhe zara koi ki hun kaisa malang main
barsat mein chala hun uDane patang main
hairan aap hi nahin hain dekh kar mujhe
apna mizaj dekh ke KHud bhi hun dang main
kya puchhte hain aap mere dil ki kaifiyat
din-raat apne aap se laDta hun jang main
meri tamam umr to masti mein kaT gai
piri mein KHak sikhunga jine ka Dhang main
ab to baDe dabao mein kaTti hai zindagi
'rana' kabhi raha hun baDa hi dabang main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.