dekhi dil de ke qadr-dani
dekhī dil de ke qadr-dānī
bas banda-navāz mehrbānī
honī hai bāz-purs-e-āmāl
kahnī hai bahut baḌī kahānī
sho.ale uThte haiñ ustuḳhvāñ se
allāh re sozish-nihānī
suunā hai gosha lahad meñ
haañ haañ vo raat bhī hai aanī
o va.ada-ḳhilāf sālhā-sāl
āñkhoñ ne kī hai pāsbānī
aa.ī piirī payām-e-ruḳhsat
baḌhtī jaatī hai nā-tavānī
mastāna-sarī 'nasīm' kab tak
āḳhir āḳhir hai naujavānī
dekhi dil de ke qadr-dani
bas banda-nawaz mehrbani
honi hai baz-purs-e-amal
kahni hai bahut baDi kahani
shoale uThte hain ustuKHwan se
allah re sozish-nihani
suna hai gosha lahad mein
han han wo raat bhi hai aani
o wada-KHilaf salha-sal
aankhon ne ki hai pasbani
aai piri payam-e-ruKHsat
baDhti jati hai na-tawani
mastana-sari 'nasim' kab tak
aaKHir aaKHir hai naujawani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.