dekhi hain bazm-e-shauq ki ranaiyan bahut
dekhī haiñ bazm-e-shauq kī ra.anā.iyāñ bahut
likkhī thiiñ par nasīb meñ tanhā.iyāñ bahut
hairāñ huuñ kis tarah se vo maqbūl ho gayā
kahne ko us ke saath thiiñ rusvā.iyāñ bahut
ham to hisār-e-hijr se bāhar na jā sake
us kī to shahr meñ thiiñ shanāsā.iyāñ bahut
kundan sā jism jhūTī anā par luTā diyā
kānoñ meñ gūñjtī rahīñ shahnā.iyāñ bahut
ḳhud apnī zaat meñ hī mukammal 'ġhazal' haiñ ham
dekhī haiñ ham ne husn kī ra.anā.iyāñ bahut
dekhi hain bazm-e-shauq ki ranaiyan bahut
likkhi thin par nasib mein tanhaiyan bahut
hairan hun kis tarah se wo maqbul ho gaya
kahne ko us ke sath thin ruswaiyan bahut
hum to hisar-e-hijr se bahar na ja sake
us ki to shahr mein thin shanasaiyan bahut
kundan sa jism jhuTi ana par luTa diya
kanon mein gunjti rahin shahnaiyan bahut
KHud apni zat mein hi mukammal 'ghazal' hain hum
dekhi hain hum ne husn ki ranaiyan bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.