Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhne mein jo lage sham-o-sahar ke sathi

Afroz Rizvi

dekhne mein jo lage sham-o-sahar ke sathi

Afroz Rizvi

MORE BYAfroz Rizvi

    dekhne meñ jo lage shām-o-sahar ke sāthī

    vo to sāthī the faqat rāhguzar ke sāthī

    ab kahāñ haiñ vo mire ashk pirone vaale

    ab kahāñ haiñ vo mire dīda-e-tar ke sāthī

    tum ko dekhā to mire dil ne kahā tum to ho

    zaḳhm-e-dil zaḳhm-e-jigar zaḳhm-e-nazar ke sāthī

    is meñ kyā shak zaman-afroz rahā hai ye kalām

    ham bhī rahte haiñ mudām ahl-e-nazar ke sāthī

    maiñ akelī chalī jānib-e-manzil 'afroz'

    ham-safar Thahre mire sirf safar ke sāthī

    dekhne mein jo lage sham-o-sahar ke sathi

    wo to sathi the faqat rahguzar ke sathi

    ab kahan hain wo mere ashk pirone wale

    ab kahan hain wo mere dida-e-tar ke sathi

    tum ko dekha to mere dil ne kaha tum hi to ho

    zaKHm-e-dil zaKHm-e-jigar zaKHm-e-nazar ke sathi

    is mein kya shak zaman-afroz raha hai ye kalam

    hum bhi rahte hain mudam ahl-e-nazar ke sathi

    main akeli hi chali jaanib-e-manzil 'afroz'

    ham-safar Thahre mere sirf safar ke sathi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now