dekhne mein jo pat hote hain
dekhne meñ jo paat hote haiñ
vo daraḳhtoñ ke haath hote haiñ
manzil-e-ishq bhī qayāmat hai
rāste pul-sirāt hote haiñ
tīrgī ke ḳhayāl meñ jugnū
raushnī kī zakāt hote haiñ
pahle aadam rasūl bantā hai
tab kahīñ mo.ajizāt hote haiñ
jab bhī hijrat havā.eñ kartī haiñ
kuchh parinde bhī saath hote haiñ
ham nayā vāqi.a nahīñ 'sājid'
nit na.e vāqi.āt hote haiñ
dekhne mein jo pat hote hain
wo daraKHton ke hath hote hain
manzil-e-ishq bhi qayamat hai
raste pul-siraat hote hain
tirgi ke KHayal mein jugnu
raushni ki zakat hote hain
pahle aadam rasul banta hai
tab kahin moajizat hote hain
jab bhi hijrat hawaen karti hain
kuchh parinde bhi sath hote hain
hum naya waqia nahin 'sajid'
nit nae waqiat hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.