dekhne sochne ki lat hi nahin
dekhne sochne kī lat hī nahīñ
bolne vāloñ ko fursat hī nahīñ
suniye to tarz-e-takallum haiñ ye ashk
kaam āñkhoñ kā basārat hī nahīñ
aise logoñ se bharī hai duniyā
jin kī duniyā ko zarūrat hī nahīñ
eḌiyāñ dekhī haiñ būḌhī maañ kī
dasht hai paañv meñ jannat hī nahīñ
aur haiñ jaane ta'alluq kitne
aap se sirf mohabbat hī nahīñ
phuul bhī taaza hoñ mahtāb bhī saaf
shahr meñ aisī suhūlat hī nahīñ
dekhne sochne ki lat hi nahin
bolne walon ko fursat hi nahin
suniye to tarz-e-takallum hain ye ashk
kaam aankhon ka basarat hi nahin
aise logon se bhari hai duniya
jin ki duniya ko zarurat hi nahin
eDiyan dekhi hain buDhi man ki
dasht hai panw mein jannat hi nahin
aur hain jaane ta'alluq kitne
aap se sirf mohabbat hi nahin
phul bhi taza hon mahtab bhi saf
shahr mein aisi suhulat hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.