dekho aaqa ki gali aur wo rauza dekho
dekho aaqā kī galī aur vo rauza dekho
apnī nazroñ ko sukūñ baḳhsh do ka.aba dekho
maiñ dil-o-jān se rauze pe jhukī jaatī huuñ
dil pukāre hī chalā jaatā hai jalva dekho
mushkiloñ meñ bhī vahī ishq tujhe thā mai kā
ġham salāmat rahe ḳhushiyoñ kā farishta dekho
saare aalam meñ koī raushnī sī phūTī hai
saarī duniyā meñ koī nuur ubhartā dekho
aañkh vīrān pareshān rahā kartī hai
ik jhalak tum bhī yahāñ aao madīna dekho
zaḳhm bhī phūloñ kī mānind mahak uTTheñge
ik nazar merī taraf jān-e-masīhā dekho
mire aaqā kī aqīdat se kitābeñ raushan
aao aao mire mahbūb kā qissa dekho
tum ko har ḳhvāb kī ta.abīr milegī 'raḳhshāñ'
pahle sochoñ meñ basā kar vo aqīda dekho
dekho aaqa ki gali aur wo rauza dekho
apni nazron ko sukun baKHsh do kaba dekho
main dil-o-jaan se rauze pe jhuki jati hun
dil pukare hi chala jata hai jalwa dekho
mushkilon mein bhi wahi ishq tujhe tha mai ka
gham salamat rahe KHushiyon ka farishta dekho
sare aalam mein koi raushni si phuTi hai
sari duniya mein koi nur ubharta dekho
aankh viran pareshan raha karti hai
ek jhalak tum bhi yahan aao madina dekho
zaKHm bhi phulon ki manind mahak uTThenge
ek nazar meri taraf jaan-e-masiha dekho
mere aaqa ki aqidat se kitaben raushan
aao aao mere mahbub ka qissa dekho
tum ko har KHwab ki tabir milegi 'raKHshan'
pahle sochon mein basa kar wo aqida dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.