dekho abhi lahu ki ek dhaar chal rahi hai
dekho abhī lahū kī ik dhaar chal rahī hai
baazū kaTe haiñ phir bhī talvār chal rahī hai
tahzīb ne ye kaisā muḳhbir lagā rakhā hai
har lamha saath ghar kī dīvār chal rahī hai
kuchh to mirī udāsī hañgāma bhī kiyā kar
tū aaj saath mere bāzār chal rahī hai
tum saath ho to kaisā chipkā paḌā hai dariyā
aur ye havā bhī kaisī hamvār chal rahī hai
kar lo ayādat us kī tum bhī to 'farhat-ehsās'
duniyā bahut dinoñ se bīmār chal rahī hai
dekho abhi lahu ki ek dhaar chal rahi hai
bazu kaTe hain phir bhi talwar chal rahi hai
tahzib ne ye kaisa muKHbir laga rakha hai
har lamha sath ghar ki diwar chal rahi hai
kuchh to meri udasi hangama bhi kiya kar
tu aaj sath mere bazar chal rahi hai
tum sath ho to kaisa chipka paDa hai dariya
aur ye hawa bhi kaisi hamwar chal rahi hai
kar lo ayaadat us ki tum bhi to 'farhat-ehsas'
duniya bahut dinon se bimar chal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.