dekho bhai aisa hai
dekho bhaa.ī aisā hai
ye dil darpan jaisā hai
mat kahnā patthar ham ko
ye dil mom ke jaisā hai
merā lahja mat pūchho
'mīr'-o-'ġhālib' jaisā hai
zālim ham se pūchh rahā
dard tumhārā kaisā hai
shohrat talve chāTegī
paas meñ jis ke paisa hai
dekho bhai aisa hai
ye dil darpan jaisa hai
mat kahna patthar hum ko
ye dil mom ke jaisa hai
mera lahja mat puchho
'mir'-o-'ghaalib' jaisa hai
zalim hum se puchh raha
dard tumhaara kaisa hai
shohrat talwe chaTegi
pas mein jis ke paisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.