dekho to kuchh ziyan nahin khone ke bawajud
dekho to kuchh ziyāñ nahīñ khone ke bāvajūd
hotā hai ab bhī ishq na hone ke bāvajūd
shāyad ye ḳhaak meñ hī samāne kī mashq ho
sotā huuñ farsh par jo bichhaune ke bāvajūd
kartā huuñ niind meñ hī safar saare shahr kā
fāriġh to baiThtā nahīñ sone ke bāvajūd
hotī nahīñ hai merī tasallī kisī tarah
rone kā intizār hai rone ke bāvajūd
paanī to ek umr se mujh par hai be-asar
mailā huuñ jaise aur bhī dhone ke bāvajūd
bojhal to maiñ kuchh aur bhī rahtā huuñ raat din
sāmān-e-ḳhvāb raat ko Dhone ke bāvajūd
thī pyaas to vahīñ kī vahīñ aur maiñ vahāñ
ḳhush thā zarā sā hoñT bhigone ke bāvajūd
ye kīmiyā-garī mirī apnī hai is liye
maiñ raakh hī samajhtā huuñ sone ke bāvajūd
Dartā huuñ phir kahīñ se nikāleñ na sar 'zafar'
maiñ us ko apne saath Dubone ke bāvajūd
dekho to kuchh ziyan nahin khone ke bawajud
hota hai ab bhi ishq na hone ke bawajud
shayad ye KHak mein hi samane ki mashq ho
sota hun farsh par jo bichhaune ke bawajud
karta hun nind mein hi safar sare shahr ka
farigh to baiThta nahin sone ke bawajud
hoti nahin hai meri tasalli kisi tarah
rone ka intizar hai rone ke bawajud
pani to ek umr se mujh par hai be-asar
maila hun jaise aur bhi dhone ke bawajud
bojhal to main kuchh aur bhi rahta hun raat din
saman-e-KHwab raat ko Dhone ke bawajud
thi pyas to wahin ki wahin aur main wahan
KHush tha zara sa honT bhigone ke bawajud
ye kimiya-gari meri apni hai is liye
main rakh hi samajhta hun sone ke bawajud
Darta hun phir kahin se nikalen na sar 'zafar'
main us ko apne sath Dubone ke bawajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.