dekhte hain kab talak ye rog pala jaega
dekhte haiñ kab talak ye rog paalā jā.egā
aañkh se kab hijr kā kāñTā nikālā jā.egā
aaj se kal kal se parsoñ aur sāloñ saal hī
kyā hamāre vasl ko aise hī Taalā jā.egā
kab na jaane zindagī kā lutf aa.egā hameñ
kab na jaane dil ke andar kā ye chhālā jā.egā
jurm ye kī aap se ham ko mohabbat ho ga.ī
ab zarā se jurm par kyā maar Daalā jā.egā
zindagī-bhar aap ne ham ko uchhālā hai bahut
mar gayā to kyā janāza bhī uchhālā jā.egā
dekhte hain kab talak ye rog pala jaega
aankh se kab hijr ka kanTa nikala jaega
aaj se kal kal se parson aur salon sal hi
kya hamare wasl ko aise hi Tala jaega
kab na jaane zindagi ka lutf aaega hamein
kab na jaane dil ke andar ka ye chhaala jaega
jurm ye ki aap se hum ko mohabbat ho gai
ab zara se jurm par kya mar Dala jaega
zindagi-bhar aap ne hum ko uchhaala hai bahut
mar gaya to kya janaza bhi uchhaala jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.