dekhun sunun jo baat main har ja sum-e-darogh
dekhūñ sunūñ jo baat maiñ har jā sum-e-daroġh
mai-ḳhāna ho ki ḳhāna mirā hai ḳhum-e-daroġh
jis inqalāb-e-dahr ke mas.hūr-e-dām ho
hoge jo nukta-bīñ to hai is meñ dum-e-daroġh
jo mudda'ī haiñ shāreh-e-īmān-o-āgahī
un ke shurūh-o-bahs meñ pinhāñ um-e-daroġh
zo'm-e-tuqā hijāb-e-tazāhur nifāq kā
har jā raqam hai is meñ bhī izn-o-qum-e-daroġh
ai ibn-e-ādmiyyat-o-insāniyat shu'ūr
kār-e-ḳhirad ye hai ki na maane gum-e-daroġh
dekhun sunun jo baat main har ja sum-e-darogh
mai-KHana ho ki KHana mera hai KHum-e-darogh
jis inqalab-e-dahr ke mashur-e-dam ho
hoge jo nukta-bin to hai is mein dum-e-darogh
jo mudda'i hain shaareh-e-iman-o-agahi
un ke shuruh-o-bahs mein pinhan um-e-darogh
zo'm-e-tuqa hijab-e-tazahur nifaq ka
har ja raqam hai is mein bhi izn-o-qum-e-darogh
ai ibn-e-admiyyat-o-insaniyat shu'ur
kar-e-KHirad ye hai ki na mane gum-e-darogh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.